▪︎21-01-2023▪︎
Yaqeenan sadqa o khairaat Allah Ta'ala ke ghusse ko thanda karta hai aur buri maut se bachaata hai.
[Tirmizi : 664, Anas bin Maalik]
join us @knowledge
▪︎19-01-2023▪︎
Chughalkhor jannat mein daakhil nahi hoga.
[Bukhari : 6056]
join us @knowledge
▪︎17-01-2023▪︎
Jo shakhs jhooti qasam kha kar kisi ka maal le lega, woh Allah ke saamne kodhi (leper) ho kar pesh hoga
[Abu Daaood : 3244, Ash'as bin Qais]
join us @knowledge
▪︎15-01-2023▪︎
Jo shakhs apne aap ko bada samajhta hai ya takabbur ke saath akad kar chalta hai, (qayaamat ke din) woh Allah Ta’ala se is haal mein milega ke Allah Ta’ala us se naaraaz honge.
[Al Adabul Mufrad : 549, Abdullah bin Umar ]
join us @knowledge
السلام عليكم ورحمةالله وبركاته
*13-01-2023*
Jab tum 3 aadami ek saath hon, to 2 aadami apne saathi ko chhod kar chupke chupke baat (sargoshi) na karein; kyun ke is se teesre saathi ko takleef hogi.
[Ibn e Maaja : 3775, Abdullah bin Masood]
▪︎20-01-2023▪︎
Beshak Allah seenon mein chhupi huwi baaton ko bhi khoob jaanta hai. [Sura-e-Luqmaan : 23]
join us @knowledge
▪︎18-01-2023▪︎
Agar koi shakhs ghalati ya gunaah kare, phir us ka ilzaam kisi be-gunaah par laga de, to woh bada bhaari buhtaan aur khule gunaah ka bojh apne opar laad leta hai.
[Sura-e-Nisa : 112]
join us @knowledge
▪︎16-01-2023▪︎
Tum mein se jo log imaan laaye hain aur jin ko ilm ata kiya gaya hai; Allah un ko darjon mein buland karega. [Sura-e-Mujaadalah : 11]
join us @knowledge
▪︎14-01-2023▪︎
Jo gumraahi ka raasta ikhtiyaar karta hai, woh apne hi nuqsaan ke liye ikhtiyaar karta hai.
[Sura-e-Bani Israaeel : 15]
join us @knowledge
▪︎12-01-2023▪︎
Naap tol poora poora kiya karo aur logon ko un ki cheezein kam kar ke na diya karo aur zameen mein us ki islaah ke baad fasaad mat phailaate phiro.
[Sura-e-A’raaf : 85]
join us @knowledge