▪︎25-04-2022▪︎
Jo bhi bura amal karega, us ki saza paayega.
[Sura-E-Nisa : 123]
join us @knowledge
▪︎22-04-2022▪︎
Jo shakhs tum par zulm kare, tum us ko maaf kardo.
[Musnade Ahmed : 17334]
join us @knowledge
▪︎28-04-2022▪︎
Jo shakhs haraam tareeqe (sood, rishwat waghaira) se maal jama kar ke sadqa kare, us ko us sadqa ka koi sawaab nahi milega, balke us haraam kamaai ka wabaal us par hoga.
[Mustadrak : 1440]
join us @knowledge
▪︎27-04-2022▪︎
Apne ghar waalon ko namaaz ka hukm do aur khud bhi us ke paaband raho, hum tum se rizq nahi chaahte, rizq to hum tumhein deinge aur behtar anjaam taqwa hi ka hai.
[Sura-E-Taahaa : 132]
join us @knowledge
▪︎26-04-2022▪︎
Beshak Allah un logon ko azaab dega, jo duniya mein logon ko (naahaq) saza dete hain.
[Muslim : 6826]
join us @knowledge
▪︎24-04-2022▪︎
Ghareebon se muhabbat karo aur un ke saath baithha karo.
[Mustadrak : 7947]
join us @knowledge
▪︎23-04-2022▪︎
Yeh duniyawi zindagi to bas thoda sa maza hai aur yaqeen jaano ke aakhirat hi rehne basne ka asal ghar hai.
[Sura-E-Momin : 39]
join us @knowledge
▪︎21-04-2022▪︎
Agar tum sadqaat zaahir kar ke do tab bhi achchha hai aur agar un ko chhupa kar fuqara ko do to yeh tumhaare haq mein ziyaada behtar hai.
[Sura-E-Baqarah : 271]
join us @knowledge